Zindagi bas aaj aur kal hai
kabhi khushi aur kabhi soz ki sankal hai
jo samajh paye tu dasturaane zindagi
batla de mujhe bhi kiski mohtaaj hai zindagi
Na Maulvi ko andaaza hai naa Aalim ne jaana
aakhir hai kaun se dhaagon ka taana baana
gar tu samajh paye to mujhe bhi batlana
chaahun ab main bhi is uljhan ko suljhana
Jo samajh paye tu dasturaane zindagi
batla de mujhe bhi kiski mohtaaj hai zindagi
Na masjid mein aaraam hai na maikhane mein salaahiyat
har roz zindagi se pareshaan bashar ki hai yehi museebat
na aeitbaar hai khuda pe, na bande pe bharosa
phir bhi karta hai sajda aur deta hai bosa
Zindagi bas aaj aur kal hai
kabhi khushi aur kabhi soz ki sankal hai
Tujhe dar hai bas aakhirat ke azaab ka
zara soch, ke wo hi ek din hoga maula ke deedar ka.
Zindagi bas aaj aur kal hai
kabhi khushi aur kabhi soz ki sankal hai
Apologies for the twist in language I have used urdu words which I don't know how to write in English script, hope it is understandable.
Soz : Gham
Sankal : Zanjeer
salaahiyat : ability, calibre
bosa : kiss of honor